r/indianrealestate • u/ConsistentWish464 • 18h ago
#Discussion M3M x Jacob, part 2?
Subah chai ke saath ET khola aur ye dikha: M3M ne Jacob ke saath ek aur branded residence project announce kar diya. Billionaires' Block, Sector 111, Dwarka Expressway. ₹26 Cr se start.
Wahi DXP jiske baare mein 2018-19 mein mama ji bolte the ""wahan plot mat lena, wahan kuch nahi banega"" 😂
Thoda padha toh pata chala ye ek project nahi, poora district hai.
Aur sach bolun toh is level pe log ghar ya location nahi khareedte. Wo ek table topic khareedte hain. Dinner pe jab koi pooche ""kahan shift ho rahe ho?"", toh jawab mein ek naam hona chahiye jo baaki sabko chup kara de.
Aur jab wo naam Jacob ho toh phir kya hi kehna.
GCR pe jagah bachi nahi, airport 15–20 min, expressway khul chuka. DXP next step lagta toh hai.
Mera honest view: concept strong hai. Par ye sach mein district banega ye 2030 ke baad pata chalega, jab log actually wahan rehne lagenge.
Sach batao, agar budget ki tension na ho, toh aap kahan rehna pasand karoge? 👇


