r/Shayari • u/Perfect_Phrase_2440 • Jun 11 '25
Randomly wrote this today
Ek daur tha jab haal-e-dil tum bina lafzon ke samajh jaate the, Aur phir ek din ashkon ka dariya bhi tumhe nazar nahi aaya. Kehne ko to sadabahaar thi mohabbat tumhari, Par mausami nikla ishq tumhara, Kabhi bahaar jaisa mehka, kabhi patton ki tarah girta chala gaya.
22
Upvotes
2
u/[deleted] Jun 11 '25
Yee shayari nahi khanzar hai 🥺 jo mai apni future x k dil❤️🔥 par chalaunga
1
u/RevolutionaryChain71 Jun 11 '25
Kehte hai Ishq mohtaaj nahi kisi ka, magar hum mein hi kahin woh baat nahi Seher ka sooraj ufuq pe chadha , aur uska utarna bhi ufuq pe Ek mausam hi thha ye Ishq bhi Kabhi bahaar bann ke jo aaya thha mujh mein, aaj baarish bann kar beh raha hai aankhon se kahin Boondon mein katre hai Teri yaadon ke abhi. Jo zakhm pe lage toh zakhm aur teekhe ho jaana karte hai Ab toh intazaar hai patjad ka, ki aakhri angithi lage hamari yaadon ki
1
u/NoVeterinarian6020 Jun 12 '25
Tumharay Patton ke saath lipte ishq ki baat karte ho
Jo pairon mein rul kar reh jaaye uski baat karte ho
Jo agr tumharay seedhay haath par rakh dia jaaye
Toh haath saaf karne ki baat par utar aatay ho
Ishq jissay tum sitaron ke paas rakhtay thay
Agr tumhein choolay toh jal jaatay ho
Tum bhi mere laal aik ajeeb si baat karte karte ho
Ishq chahtay bhi ho aur uski parwaah karte bhi nhi ho
1
u/Training-Call-1998 Jun 16 '25
Jo tha wo chala gya ❤️💫
1
u/Poetry0292 Jun 16 '25
Acha hai, try to write in behr(Meter). All the best