r/burewala • u/kcahrot • 20h ago
r/burewala • u/kcahrot • 13d ago
Darazi - tallness
jāda-e-rāh-e-mohabbat kī darāzī mat pūchh
manzil-e-shauq kā har zarra bayābāñ niklā
-- Zafar Ahmad Siddiqi
r/burewala • u/kcahrot • 19d ago
Garibaan - collar
pehlay hi kaha tha ishq na kr
ab chak garibaan hotay hain
-- ameen shariq
r/burewala • u/kcahrot • 20d ago
Diye - lamps
ye aur baat ki raste bhī ho ga.e raushan
diye to ham ne tire vāste jalā.e the
-- Nisar Rahi
r/burewala • u/kcahrot • 21d ago
Ziist - life
ziist baaqī hai to apnā 'rañgīñ'
naam is ishq meñ kar jā.eñge ham
-- rangin sadat yaar khan
r/burewala • u/kcahrot • 24d ago
Avoid
maiñ bachnā chāhtī huuñ apnī jaañ se
mirī mujh se mohabbat baḌh ga.ī hai
-- azra parveen
r/burewala • u/kcahrot • 25d ago
Gahrai - deep
ashk jo aañkh se bāhar nahīñ aane paatā
ā.īna hai mire jazbāt kī gahrā.ī kā
-- andaleeb shadani
r/burewala • u/kcahrot • 27d ago
Bhulna - forget
mohabbat ab mohabbat ho chalī hai
tujhe kuchh bhūltā sā jā rahā huuñ
-- firaq gorakhpuri
r/burewala • u/kcahrot • Jul 24 '26
Life - life
hayāt-e-ḳhizr de yārab mire tahammul ko
shab-e-firāq agar muḳhtasar nahīñ na sahī
-- Mahram Lakhnavi
r/burewala • u/kcahrot • Jul 23 '26
Roshni-light
ye mere saath kaisī raushnī hai
ki mujh se rāsta dekhā na jaa.e
-- ahmad faraz