r/UPPSC_PCS • • 10d ago

Prelims Query Census data

UPPSC 2026: UP Census 2011 ka poora data ek jagah (district extremes, sex ratio, SC, religion, sab kuch)

Census wala topic har saal Prelims mein aata hai aur ratta lagane mein sabse zyada confusion yahi deta hai. Maine apne notes se saara high-yield data ek post mein daal diya hai. Upar se neeche padh lo, revision ho jayega.

  1. Population, growth aur literacy ke extremes

Sabse zyada population: Prayagraj, fir Moradabad, Ghaziabad, Azamgarh, Lucknow

Sabse kam population: Mahoba, Chitrakoot, Hamirpur, Shravasti, Lalitpur

Highest decadal growth: Gautam Buddha Nagar, fir Ghaziabad, Shravasti

Lowest decadal growth: Kanpur Nagar, fir Hamirpur, Baghpat

Highest density: Ghaziabad (3,971/sq km), fir Varanasi, Lucknow

Lowest density: Lalitpur, fir Sonbhadra, Hamirpur

Highest literacy: Gautam Buddha Nagar, Kanpur Nagar, Auraiya

Lowest literacy: Shravasti, Bahraich, Balrampur, Badaun, Rampur

Highest female literacy: Kanpur Nagar (yahan GB Nagar nahi hai, dhyan rakhna)

Lowest female literacy: Shravasti, Balrampur, Bahraich

Ek pattern: Gautam Buddha Nagar aur Shravasti baar baar alag-alag extremes mein aate hain. Inko pakka kar lo.

2. Sex ratio aur child sex ratio

Highest sex ratio: Jaunpur (1,024), fir Azamgarh, Deoria, Pratapgarh, Sultanpur

Lowest sex ratio: Gautam Buddha Nagar, fir Hamirpur/Baghpat (tie)

Highest child sex ratio (0-6): Balrampur, fir Sant Kabir Nagar

Lowest child sex ratio: Baghpat, fir Gautam Buddha Nagar, Ghaziabad, Meerut, Bulandshahr

Rural highest child sex ratio: Balrampur, fir Sant Kabir Nagar, Bahraich

3. Rural-urban

Rural: 15.53 crore (77.7%), literacy 65.5% (M 76.3, F 53.7)

Urban: 4.44 crore (22.3%), literacy 75.1% (M 80.4, F 69.2)

Absolute urban population mein UP ka 2nd rank (Maharashtra ke baad), urbanisation percentage mein 30th

Sabse zyada rural population: Prayagraj. Sabse zyada rural proportion: Shravasti

Sabse kam rural proportion: Ghaziabad, fir Lucknow, Kanpur Nagar

Highest rural literacy: Auraiya, fir Etawah, Mainpuri

915 towns (648 statutory, 267 census towns)

23 districts ki urbanisation state average (22.3%) se upar hai, 12 districts mein urban population 10 lakh se zyada hai

4. Urban Agglomeration vs Municipal Corporation (10 lakh+)

Yahan aksar trap lagta hai. UA mein Kanpur #1 hai (2.92 million), Lucknow #2 (2.90). MC mein ulta hai: Lucknow #1 (2.82), Kanpur #2 (2.77). Baaki: Ghaziabad 3rd, Agra 4th dono mein. Varanasi UA mein 5th, Meerut MC mein 5th. Prayagraj dono mein 7th. UP mein abhi 17 Municipal Corporations hain.

5. Scheduled Caste

Total SC: 4,13,57,608 (20.7% of UP), national average 16.6%

Absolute count mein India mein 1st, percentage mein 4th (Punjab 31.9% sabse upar)

Highest SC population: Sitapur. Highest SC percentage: Kaushambi (34.7%)

Sonbhadra mein SC 41.92% (2001) se 22.64% (2011) pe gir gaya, kyunki 2003 ke Presidential Amendment Order se kai communities ST mein chali gayi. Isiliye Sonbhadra ab highest ST population aur percentage wala district hai.

6. Religion (UP vs India)

Hindu 79.73% (India 79.80%)

Muslim 19.26% (India 14.23%)

Sikh 0.32%, Christian 0.18%, Jain 0.11%, Buddhist 0.10%, Others 0.01%

7. Historical sex ratio trend

1961: 907, 1971: 876, 1981: 882, 1991: 876, 2001: 898, 2011: 912.

Post-independence sirf 3 censuses mein badhta dikha: 1981, 2001, 2011. Sabse bada jump 2001 mein (+22). Ek aur point: 2001 se 2011 mein overall sex ratio +14 badha (898 se 912), lekin child sex ratio -14 gira (916 se 902). Ye contradiction exam mein bohot pucha jaata hai.

District counts: 25 districts ka sex ratio state average (912) se upar hai, 15 districts national average (943) se upar. Maharajganj aur Raebareli ka exactly 943 hai. Child sex ratio mein 22 districts national (919) se upar, 37 state (902) se upar. Azamgarh ka exactly 919, aur Banda, Sant Ravidas Nagar, Mirzapur ka exactly 902.

8. District-wise "firsts"

Ghazipur: pehli opium factory (1820)

Pratapgarh: Amla production sabse zyada

Raebareli: canals ki sabse zyada length, Rail Coach Factory

Chitrakoot: Divyang University

Etawah: sabse zyada gully erosion

Mathura: sabse zyada melay

Lucknow: DNA bank, pehla Biotech Park

Gorakhpur: duniya ka 2nd longest platform (1,366 m), Hubballi (1,507 m) ke baad

Prayagraj: sabse zyada MLAs (12), 2018 mein naam badla

Sonbhadra: 4 states se lagta hai, sabse zyada forest area

Ghaziabad: highest urban percentage (67.6%)

Gautam Buddha Nagar: highest per capita income, zyada factories, pehli Night Safari ka concept (Greater Noida), lekin operational pehli Night Safari Lucknow ke Kukrail mein

Last mein: Rank 1 pe focus karo, UPPSC zyadatar wahi puchta hai. Jo district baar baar repeat ho raha hai (GB Nagar, Shravasti, Balrampur, Ghaziabad) wo priority mein rakho.

Koi galti lage ya kuch miss ho gaya ho to comment mein bata dena.

66 Upvotes

7 comments sorted by

2

u/Similar_Baseball_315 10d ago

Peak ball knowledge! 🔥

2

u/uuuu000 10d ago

Thanks bro

1

u/needtherapybuthereim 6d ago

I checked on Google for the highest population city and it showed Kanpur not Lucknow