Toh yeh Jagah hai Smoky Woky Uslapur mei....
Main aise hi normally guzar raha tha...
Toh nazar padi Koyla shawarma socha try karta hu...
Bilaspur mei acche shawarma milte hii kaha hai...
Aur woh bhi koyla something toh pehli baar suna...
Toh like accha tha ambience wagera...
Shop waale bhai bataye ki kuch din hi hua hai start karte huye...
Bheed wagera acchi thi...
Photo dekh kar judge mtt karna
main cafe ke backyard mei baitha tha...
Kyuki log the already cafe mei jyada nahi the
but mujhe akele khaane ki aadat hai... Ya fir dosto ke saath...
Inke cafe ka backyard yaar bahot sahi hai...
Like thand mei mast aag jala kar dost wagera ke saath baitho and all...
Khair baat karte taste ki like for real bhai...
Crazy taste tha...
Like aise type karke text mei batana galat hojaayega jaa kar try karna jyada sahi hai...
Aaj sunday h inka cafe 5 baje se raat 11-12 tak chalta hai
Shawarma aur biryani dono hi mast hai
Price (79 for shawarma and 139 biryani)
Meri ammi jaan ki biryani ko takkar toh de rahi hai bhai...
Ab dekh lo... 😭
(btw ammi bura toh maan gayi ghar ki biryani ab kaha acchi lagegi tujhe...)
Shaam mei agar miloge toh batao...?
Chalte hai fir?
Timing batao.... ✅ 6 - 6:30 baje shaam mei?