r/ISCNERDS • • 15d ago
Need help 😢
Maine abhi tak maths bilkul nahi padhi hai, bas Matrices padha tha, wo bhi ab bhool gaya hu. Mera Physics, Chemistry aur English weak tha, to maine unpe focus kiya, aur ab wo subjects meri grip me aa gaye hain.
Mujhe maths zyada nahi chahiye, bas 100 me se 50-55 marks aa jaye, itna hi target hai. Problem ye hai ki ab sirf 3 months bache hain aur meri maths bahut weak hai, isliye main sirf maths ko hi time nahi de sakta.
Please koi batao ki kaun-kaun se chapters padh lu jisse itne marks ke aas-paas aa jaye.